July 14, 2010

Song for the Science Students

Na Ye Chemistry Hoti,
Na Mein Student Hota

Na Ye Lab Hoti,
Na Ye Accident Hota

Abhi Practical Mein Aaye Nazar Ek Ladki
Sundar Thi Naak Uski Test Tube Jaisi


Baton Mein Uski Glucose Ki Mithas Thi
Sanson Mein Ester Ki Khushbu Bhi Sath Thi

Aankhon Se Jhalakta Tha
Kuch Is Taranh Ka Pyaar

Bin Piye Hi Ho Jata Tha
Alcohol Ka Khumar

Benzene Sa Hota Tha
Uski Presence Ka Ehsas

Andhere Mein Hota Tha
Radium Ka Abhas

Nazrein Mileen, Reaction Hua
Kuch Is Taranh Love Ka Production Hua

Lagne Lage Us Ke Ghar Ke Chakkar Aise
Nucleus Ke Charon Taraf Electron Hon Jaise

Us Din Hamare Test Ka Confirmation Hua
Jab Uske Daddy Se Hamara Introduction Hua

Sun Kar Hamari Baat Woh Aise Uchal Pare
Ignition Tube Mein Jaise Sodium Bharak Uthe

Woh Bole, Hosh Mein Aao, Pahchano Apni Auqat
Iron Mil Nahin Sakta Kabhi Gold Ke Sath

Ye Sun Kar Tuta Hamare Armanon Bhara Beaker
Aur Hum Chup Rahe Benzaldehyde Ka Karwa Ghoont Pi Kar

Ab Us Ki Yaadon Ke Siwa Hamara Kam Chalta Na Tha
Aur Lab Mein Hamare Dil Ke Siva Kuch Aur Jalta Na Tha

Zindagi Ho Gayee Unsaturated Hydrocarbon Ki Taranh
Aur Hum Phirte Hain Awara Hydrogen Ki Tarhan.

No comments:

Post a Comment